ba-rah-e-rast nahin phir bhi rabta sa hai wo jaise yaad-e-mazafat mein chhupa sa hai kabhi talash kiya to wahin mila hai wo nafas ki aamad-o-shud mein jahan khala sa hai ye tare kis liye aanhken bichhae baithe hain hamein to jagte rahne ka aariza sa hai ye kaenat agar waisi ho to kya hoga hamare zehn mein khaka jo ek bana sa hai zamin madar pe raqsan hai subh o sham mudam kure ke chaar taraf ek muhasara sa hai