baad-e-mukhalif puchh rahi hai waqt ke khewan-haaron se kaise nayya par lagegi ghun-khai patwaron se batware ki dimak aakhir un ko chat gai hogi bosida kamre ka bharam tha qaem jin diwaron se jaane tumhaari fahm-o-farasat kin qabron mein dafn hui kaghaz ki poshak badan par yarane angaron se mange ke par kab chhin jaen udte hue kab gir jao hum jaise be-par achchhe hain tum jaise par-daron se kal tak jin ko naz tha yaro apni chaarasazi par dard ka darman puchh rahe hain aaj wahi bimaron se lafz-e-mujahid likh to liya hai apne apne sinon par marka kaise sar kar loge zang lage hathiyaron se 'shahzar' us se ja kar kah do waqt tera paband nahin aaj ki khabaren mang raha hai jo kal ke akhbaron se