badal chuke hain sab agli riwayaton ke nisab

badal chuke hain sab agli riwayaton ke nisab
jo the sawab-o-gunah ho gae gunah-o-sawab

numu ke bab mein wo bebasi ka aalam hai
bahaar mang rahi hai khizan ruton se gulab

badal ke jam bhi hum to rahe khasare mein
hamare pas lahu tha tumhaare pas sharab

mere kahe ko amanat samajhna mauj-e-hawa
main aane wale zamanon se kar raha hun khitab

so meri pyas ka donon taraf ilaj nahin
udhar hai ek samundar idhar hai ek sarab

khud aagahi ka saliqa sikha gaya 'anjum'
mere khilaf mere doston ka istiswab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close