badal ke dekh liye zawiye udanon ke khirad se tai na hue fasle zamanon ke samundaron ke tamawwuj, nahang, wusaten, khauf kahan pe hausle tute hain baadbanon ke falak se roz utarte hain raushni ke khutut magar na chamke muqaddar gharib-khanon ke khizan ka zahr sarayat hua hai rag rag mein gulab-chehre hue zard gulsitanon ke tulu-e-subh ke aasar ufuq pe hain shayad charagh bujhne lage hain itab-khanon ke kiran ka neza liye hath mein chalo 'ashraf' hain dew raste mein barf ki chatanon ke