badal ke hum ne tariqa khat-o-kitabat ka chhupa liya hai zamane se raaz ulfat ka purana zakhm naya ho gaya to kya hoga na phenko tir hamari taraf ko nafrat ka bahaar aai thi chehre pe chaar din ke liye nasha hai aaj bhi aaankhon mein us latafat ka kabhi to aao hamare gharib-khane par hamein bhi dijiyo mauqa janab khidmat ka bahut sambhaal ke rakhna use hifazat se khilauna tut na jae meri mohabbat ka ye musht-e-khak jo insan ki haqiqat hai tamasha dekh raha hun main is ki fitrat ka hamare zarf ko nazron se tol kar 'arif' utha raha hai wo tufan ek qayamat ka