badalte waqt ki raftar kya hai mohabbat ab tera kirdar kya hai zamin ko chhu raha hai aasman ab talab ki rah mein paikar kya hai kata kar sar bhi marta hi nahin waqt hawa ke hath mein talwar kya hai bhula baitha hun main khud ko bhi logo mere kandhon pe ab ye bar kya hai azal se hai meri fitrat mein jhukna to phir sajdon se mujh ko aar kya hai anal-haq se abhi waqif nahin main mujhe malum kab hai dar kya hai mujhe hai fakhr main khaki hun meri nazar mein nur kya hai tar kya hai saba se puchhta phirta hun 'aiman' wafa mein phul kya hai khar kya hai