badan simta hua aur dasht-e-jaan phaila hua hai so ta-hadd-e-nazar wahm o guman phaila hua hai hamare panw se koi zamin lipti hui hai hamare sar pe koi aasman phaila hua hai ye kaisi khamushi mere lahu mein sarsarai ye kaisa shor dil ke darmiyan phaila hua hai tumhaari aag mein khud ko jalaya tha jo ek shab abhi tak mere kamre mein dhuan phaila hua hai hisar-e-zat se koi mujhe bhi to chhudae makan mein qaid hun aur la-makan phaila hua hai