bade hi naz se laya gaya hun main kandha de kar uthwaya gaya hun farishto yun na mujh se pesh aao sandesa bhej bulwaya gaya hun khabar jis ki thi wo sare manazir qarib-e-marg dikhlaya gaya hun ganwai zindagi ki subh kaise ba-waqt-e-sham batlaya gaya hun jahan se pai hai sab ne fazilat usi kuche se main aaya gaya hun mile bhar bhar ke sab ko jam lekin main ek qatre ko tarsaya gaya hun ba-zahir to girai ek imarat darun-e-zat mein dhaya gaya hun 'obaid' is baat ki mujh ko khushi hai main duniya se alag paya gaya hun