badi hairat se arbab-e-wafa ko dekhta hun main khata ko dekhta hun aur saza ko dekhta hun main abhi kuchh der hai shayad mere mayus hone mein abhi kuchh din fareb-e-rahnuma ko dekhta hun main khuda malum dil ko justuju hai kin jaziron ki na jaane kin sitaron ki ziya ko dekhta hun main ye kya gham hai mere ashaar ko nam kar diya kis ne ye dil mein kis samundar ki ghata ko dekhta hun main 'zamir' ek qaid-e-na-mahsus ko mahsus karta hun kisi nadani-e-zanjir-e-pa ko dekhta hun main