baDi haweli ke taqsim jab ujale hue

badi haweli ke taqsim jab ujale hue
jo be-charagh the wo bhi charagh wale hue

na aainon ko khabar thi na dast-e-wahshat ko
kahan girenge ye patthar jo hain uchhaale hue

jo takht-o-taj pe tanqid karte phirte hain
ye sare log hain darbar se nikale hue

phir aaj bhuk hamara shikar kar legi
ki raat ho gai dariya mein jal dale hue

unhen khabar hi nahin sar nahin hain shanon par
jo apne hathon mein dastar hain sambhaale hue

wo log bhi to kinaron pe aa ke dub gae
jo kah rahe the samundar hain sab khangale hue

kisi ke aane pe ab taliyon ka shor kahan
wo haar sukh chuke hain gale mein dale hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close