baDi muddat se qismat aazmane ki tamanna hai

badi muddat se qismat aazmane ki tamanna hai
tujhe pane tujhe apna banane ki tamanna hai

kabhi to bandagi ki lazzaton se aashna hoga
kisi ke naqsh-e-pa par sar jhukane ki tamanna hai

rulaya hai mujhe jis gham ne barson khun ke aansu
mujhe us gham pe ek din muskurane ki tamanna hai

ab un ke dar pe aa baithi wo jaanen ya meri qismat
kahin aane ki khwahish hai na jaane ki tamanna hai

ilahi khair muddat ho gai bhule hue jis ko
wo naghma saz-e-dil par gungunane ki tamanna hai

'wafa' tum bhi ajab ho khub hai bazi mohabbat ki
ki us ko jit kar bhi haar jaane ki tamanna hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close