badla mizaj-e-husn to wo ru-ba-ru nahin wo ishwa-o-ada nahin wo guftugu nahin dil se tujhe nikal ke kuchh mutmain to hun phir bhi kahun ye kaise teri justuju nahin khushbu na jin ki phaile fazaon mein chaar-su gulshan mein aise phulon ki kuchh aabru nahin jab se nizam-e-mai-kada badla hai dosto wo mai nahin wo jam nahin wo subu nahin charche wo doston ne diye hain ki al-aman ab rah-o-rasm ki bhi mujhe aarzu nahin 'qaisar' har ek taraf hai girani ka tazkira lekin zara bataiye sasta lahu nahin