badli si apni aaankhon mein chhai hui si hai bhuli hui si yaad phir aai hui si hai mat hath rakh sulagte kaleje pe ham-nashin ye aag dekhne mein bujhai hui si hai leta hun sans bhi to bhatakta hai tan-badan rag rag mein ek nok samai hui si hai be-sakhta kahe hai jo dekhe hai zakhm-e-dil ye chot to unhin ki lagai hui si hai muddat hui jalai gai shakh-e-ashiyan ab tak isi tarah se jalai hui si hai jo in ki baat hai wahi meri ghazal ki baat lekin zara ye baat banai hui si hai chhedi ghazal jo tum ne to aisa laga 'kalim' khushbu kisi ki zulf ki aai hui si hai