bahaar aane ki ummid ke khumar mein tha khizan ke daur mein bhi mausam-e-bahaar mein tha jise sunane gaya tha main zindagi ki nawid wo shakhs aakhiri hichki ke intizar mein tha sipah-e-aql-o-khirad mujh pe hamla-awar thi magar main ishq ke mazbut-tar hisar mein tha mera nasib chamakta bhi kis tarah aakhir mera sitara kisi dusre madar mein tha utha ke hath dua mangna hi baqi hai wagarna kar chuka sab kuchh jo ikhtiyar mein tha use to is liye chhoda tha wo nihatta hai khabar na thi ki wo mauqe ke intizar mein tha wo kah raha tha mujhe naz apne ijz pe hai ajab tarah ka ghurur us ke inkisar mein tha