bahaaron ka saman hai aur main hun

bahaaron ka saman hai aur main hun
kisi ka dastan hai aur main hun

kahin jis ka kinara hi nahin hai
wo bahr-e-be-karan hai aur main hun

wo hain aur ek andaz-e-pasheman
wafa ka imtihan hai aur main hun

ata-e-dard-e-ulfat ki badaulat
nishat-e-jawedan hai aur main hun

hui hai pursish-e-haal-e-mohabbat
nigah-e-tarjuman hai aur main hun

tamannaon ki jalti rahguzar mein
khayal-e-karwan hai aur main hun

wahi betab armanon ki duniya
wahi gham ka dhuan hai aur main hun

jahan mein ab ba-nam-e-sher 'azmat'
mera apna jahan hai aur main hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close