baham suluk-e-khas ka ek silsila bhi hai wo kaun sath sath hai lekin juda bhi hai barg-e-khizan ki zard si tahrir hai magar dast-e-shafaq mein phul sunahra khila bhi hai ithar ki dhund mein hain gae mausamon ke naqsh ek hath pith par hai diya ek jala bhi hai afkar jaise shakhs barahna nagar ke hain! alfaz ajnabi ki naya narawa bhi hai pani mein ek charagh ki lau nam gudaz surkh pani mein koi aks ajab zard sa bhi hai ek nashsha! dhup! khwab! shafaq! chandni! sarab khidki guman ki! samne manzar naya bhi hai aao banaen kashtiyan kaghaz ki chal ke raaz purwa chali hai jhum ke baadal utha bhi hai