bahisht-zar hasin gul-kade mein rahte the hum ek sath kisi mintaqe mein rahte the na jaane kaun se pal ka tha intizar hamein na jaane kab se hum ek dusre mein rahte the yahin kahin the pareshan khwab ki surat kabhi to nind kabhi ratjage mein rahte the bahut si jhilen tere chashm-o-lab se milti thin bahut se ped mere raste mein rahte the zamanon ba'd kahin samna hua apna safar mein the magar ek daere mein rahte the kahin jagah hi nahin thi hamein samane ko hum apni zat ke hairat-kade mein rahte the hamari raushni to ek thi wajud alag ki do charagh the ek taqche mein rahte the yaqin jaan ki ek dusre ka aks the hum aur ek sath kisi aaine mein rahte the ajib gosha-e-tanhai mein pada hua hun tamam log kabhi rabte mein rahte the