bahr-e-gham mein ghota-zan hain kaisi kaisi hastiyan

bahr-e-gham mein ghota-zan hain kaisi kaisi hastiyan
dard-e-sahil pe hi kyon tum le rahe ho siskiyan

ret ke kachche gharaunde bah gae to fikr kya
ek din sailab le jaega sari bastiyan

ek din phulon ki lali tak chura le jaengi
is chaman ki mukhtalif rangon ki udti titliyan

ek jaanib mai-kada hai ek taraf hai khanqah
dekhiye jati kidhar hain sufiyon ki toliyan

pahle mujh pe ek wahi ungli uthata tha 'saba'
aur ab to be-shumar uthti hain mujh pe ungliyan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close