bahut aziz tha aalam wo dil-figari ka

bahut aziz tha aalam wo dil-figari ka
sukun ne chhin liya lutf be-qarari ka

hamein bhi khu thi zamanon se dil jalane ki
unhen bhi shauq purana tha shola-bari ka

dilon mein un ke raha iztirab roz-o-shab
wo jin ke sar pe raha bojh taj-dari ka

wo jate jate mujhe apne gham bhi saunp gaya
ajib dhang nikala hai gham-gusari ka

kaha tha tum se ai 'azim' sambhal sambhal ke chalo
bharam na rakkha magar tum ne parda-dari ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close