bahut kathin hai bikharne ka hausla rakhna sabab tumhin ho magar tum se kya gila rakhna na jaane kaun se mausam se sabiqa pad jae hamare haq mein duaon ka silsila rakhna khuda kare ki use apni baat yaad rahe gaya hai kah ke mujhe apna dar khula rakhna mere baghair ruton ko wo kaise katega isi khayal mein bas khud ko mubtala rakhna ye zindagi badi mushkil se ram hoti hai kabhi mile to mohabbat se rabta rakhna tera suluk ho aisa to kaise mumkin hai shahad zaban pe to lahje mein shukriya rakhna main be-niyaz mujhe kya gharaz natije se mera to kaam hai bas apna muddaa rakhna jahan shikast ho aur wapsi ki khwahish bhi us ek pal ko mere nam se bacha rakhna