bahut raushan hum apna nayyar-e-taqdir dekhenge

bahut raushan hum apna nayyar-e-taqdir dekhenge
jab aaghosh-e-tasawwur mein teri taswir dekhenge

harim-e-dil ke girda-gird wo tanwir dekhenge
jalal-e-mehr-e-anwar ko bhi be-tauqir dekhenge

nigah-e-dil se jis din uswa-e-shabbir dekhenge
khalilullah apne khwab ki tabir dekhenge

junun-e-ishq ke ilzam mein ai khush-nawa qumri
gale mein tu ne dekha tauq hum zanjir dekhenge

alam ho ranj ho gham ho bala ho shadmani ho
jo tu ne likh diya ai katib-e-taqdir dekhenge

khuda ki rah mein sab kuchh luta kar baithne wale
khuda ki kul khudai apni hi jagir dekhenge

mera aamal-name dhul gaya ashk-e-nadamat se
farishte kya karenge kuchh na jab tahrir dekhenge

sitam-garon ko mil jaega apne zulm ka badla
kabhi aah-e-ghariban ko na be-tasir dekhenge

mohabbat hi bina ai 'barq' hai takhliq aalam ki
mohabbat hi ko har aalam mein aalam-gir dekhenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close