bahut se logon ko gham ne jila ke mar diya jo bach rahe the unhen mai pila ke mar diya ye kya ada hai ki jab un ki barhami se hum na mar sake to hamein muskura ke mar diya na jate aap to aaghosh kyun tahi hoti gae to aap ne pahlu se ja ke mar diya mujhe gila to nahin aap ke taghaful se magar huzur ne himmat badha ke mar diya na aap aas bandhate na ye sitam hota hamein to aap ne amrit pila ke mar diya kisi ne husn-e-taghaful se jaan talab kar li kisi ne lutf ke dariya baha ke mar diya jise bhi main ne ziyaada tapak se dekha usi hasin ne patthar utha ke mar diya wo log mangenge ab zist kis ke aanchal se? jinhen huzur ne daman chhuda ke mar diya chale to khanda-mizaji se ja rahe the hum kisi hasin ne raste mein aa ke mar diya rah-e-hayat mein kuchh aise pech-o-kham to na the kisi hasin ne raste mein aa ke mar diya karam ki surat-e-awwal to jaan-gudaz na thi karam ka dusra pahlu dikha ke mar diya ajib ras-bhara rahzan tha jis ne logon ko tarah tarah ki adaen dikha ke mar diya ajib khulq se ek ajnabi musafir ne hamein khilaf-e-tawaqqoa bula ke mar diya 'adam' bade adab-adab se hasinon ne hamein sitam ka nishana bana ke mar diya tayyunat ki had tak to ji raha tha 'adam' tayyunat ke parde utha ke mar diya