bahut tha khauf jis ka phir wahi qissa nikal aaya mere dukh se kisi aawaz ka rishta nikal aaya wo sar se panw tak jaise sulagti sham ka manzar ye kis jadu ki basti mein dil-e-tanha nikal aaya jin aankhon ki udasi mein bayaban sans lete hain unhin ki yaad mein naghmon ka ye dariya nikal aaya sulagte dil ke aangan mein hui khwabon ki phir barish kahin konpal mahak utthi kahin patta nikal aaya pighal uthta hai ek ek lafz jin honton ki hiddat se main un ki aanch pi kar aur bhi sachcha nikal aaya guman tha zindagi be-samt o be-manzil bayaban hai magar ek nam par phulon-bhara rasta nikal aaya