bais-e-arz-e-hunar karb-e-nihani nikla

bais-e-arz-e-hunar karb-e-nihani nikla
lafz hi mamba-e-dariya-e-maani nikla

sab ke honton ko chhua abr-e-rawan ne lekin
mere hisse ka na dariyaon mein pani nikla

kaun hota hai sharik-e-safar-e-tanhai
mera saya hi mera dushman-e-jaani nikla

zindagi jis ke tasawwur mein basar ki hum ne
hae wo shakhs haqiqat mein kahani nikla

jis ke sine mein bhi 'shadab' utar kar dekha
takhta-e-mashq-e-sitam hae girani nikla


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close