baitha hun panw tod ke tadbir dekhna manzil qadam se lipti hai taqdir dekhna aawaze mujh pe kaste hain phir bandagan-e-ishq pad jae phir na panw mein zanjir dekhna murdon se shart bandh ke soi hai apni maut han dekhna zara falak-e-pir dekhna hosh ud na jaen sanat-e-behzad dekh kar aaina rakh ke samne taswir dekhna parwane kar chuke the sar-anjam khud-kushi fanus aade aa gaya taqdir dekhna shayad khuda-na-khasta aankhen dagha karen achchha nahin nawishta-e-taqdir dekhna baad-e-murad chal chuki langar uthao 'yas' phir aage badh ke khubi-e-taqdir dekhna