baitha hun waqf-e-matam-e-hasti mita hua zahr-e-wafa hai ghar ki faza mein ghula hua khud un ke pas jaun na un ko bulaun pas paya hai wo mizaj ki jina bala hua apni zaban ko aaj wo tasir hai nasib jis ko khuda-e-husn kaha wo khuda hua us par ghalat hai ishq mein ilzam-e-dushmani qatil hai mere hujla-e-jaan mein chhupa hua jaan hai to fikr-e-ishrat-e-bazm-e-jahan bhi hai kab dil se dard-e-alam-e-imkan juda hua hain jism-o-jaan baham ye magar kis ko hai khabar kis kis jagah se daman-e-dil hai sila hua hai rahwar-e-shauq pe aaseb-e-be-dili rakkha hai kab se samne saghar bhara hua hasil hai jis ko 'arsh' fazaon pe ikhtiyar wo dil ke sath khel raha hai to kya hua