baja ki naqsh-e-kaf-e-pa pe sar bhi rakhna hai magar buland maqam-e-nazar bhi rakhna hai sakhawat aisi dikhai ki ghar luta baithe na socha ye bhi ki kuchh apne ghar bhi rakhna hai hon zakhm zakhm kahan tak main chaaragar se kahun idhar bhi rakhna hai marham udhar bhi rakhna hai ye jabr dekho ki rahna bhi hai sar-e-maqtal har ek war bhi sahna hai sar bhi rakhna hai rah-e-hayat mein thakna bhi hai yaqini sa phir apne aap ko waqf-e-safar bhi rakhna hai ilahi khair ki tufan-e-baad-o-baran mein hamein bachana hai khud ko bhi ghar mein rakhna hai ye kya sitam hai ki sayyaad hum asiron ko riha bhi karna hai be-baal-o-par bhi rakhna hai kise bataen ki gham us ki be-niyazi ka wo gham hai jis se use be-khabar bhi rakhna hai musafiro abhi manzil ke hain padaw bahut isi hisab se zad-e-safar bhi rakhna hai ye uzr hai ki unhen nind aane lagti hai bayan-e-qissa-e-gham mukhtasar bhi rakhna hai 'waqar' tum sukhn-o-agahi se guzre ho tumhi ko pas-e-'waqar'-e-hunar bhi rakhna hai