bala-e-tira-shabi ka jawab le aae bujhe charagh to hum aaftab le aae bikhar gae jo kabhi chashm-e-intizar ke rang is anjuman se hum ek aur khwab le aae hum is zamin pe mizan-e-adl rakhte hain kaho zamane se fard-e-hisab le aae har ek gham se salamat guzar gaya hai dil khuda kare ki mohabbat ki tab le aae gae the hum bhi in aankhon se mangne kya kya wahi hua ki bas ek iztirab le aae hamari laghzish-e-paiham ko raegan na samajh ajab nahin ki yahi inqalab le aae na lae kuchh bhi hum aashob-e-dahr mein 'akhtar' bas ek hausla-e-iztirab le aae