bala ki dhup mein aise bhi jism jalta raha

bala ki dhup mein aise bhi jism jalta raha
badan ka saya jo apne siron se dhalta raha

dhali na sham-e-alam jab talak sahar na hui
bujhe charagh ki lau se dhuan nikalta raha

mili na manzil-e-maqsud is liye bhi mujhe
main har qadam pe naya rasta badalta raha

jahan bhi aankh churai safar mein suraj ne
koi sitara mere sath sath chalta raha

bas ek umr ganwa kar qubuliyat ki 'nabil'
tamam umr main hathon ko apne malta raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close