bala ki dhup thi sari faza dahakti rahi

bala ki dhup thi sari faza dahakti rahi
magar wafa ki kali shakh par chatakti rahi

bichhadte waqt mein us ko dilasa deta raha
wo be-zaban thi mujhe bebasi se takti rahi

use khabar thi ki hum ahl-e-dasht pyase hain
jabhi to mauj kinaron se sar patakti rahi

alam-nasib to ro ro ke so gae aakhir
magar malul hua raat bhar sisakti rahi

dam-e-judai wo maryam salib ki manind
mere gale se badi der tak latakti rahi

main aisi rah pe nikla ki meri khush-bakhti
tamam umr meri khoj mein bhatakti rahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close