ban ke ek misra-e-namnak nazar tak pahuncha maujzan ishq mera arsh-o-qamar tak pahuncha kis tarah bhulun bata khauf se jarjar aankhen dekhte dekhte pani mere sar tak pahuncha ishtihaaron mein hi gum ho gai kul aawazen sab ne bas dekha suna kaun khabar tak pahuncha hukmaranon ko faqat wote se matlab warna kis ne muflis ki suni kaun idhar tak pahuncha tum se kahte na bane hum ko pata hai wo shai jazba-e-ishq tha honton se jigar tak pahuncha us ke jazbon ki badaulat hi to ginna sikhe wo khalaon se lada shunya bashar tak pahuncha dil ka sab haal bayan kar gain mukhbir aankhen rog pala tha kabhi aaj asar tak pahuncha aap par khul na saka apni tabiat ka rumuz aur wo shakhs to imkan-e-bashar tak pahuncha