bandha hai ahd-e-junun chashm-e-etibar ke sath use kaho ki jiye azm-e-ustuwar ke sath na ho saki kabhi taufiq darguzar ki use na chal sake kabhi hum khud bhi eqtidar ke sath faqih-e-shahr se kahna ki dil kushada rakhe mila hai mansab-e-ala jo ikhtiyar ke sath nishan-e-naqa-e-laila pahunch se dur nahin kabhi chalo to sahi do qadam ghubar ke sath tamam-umr raha wo rahin-e-minnat-e-ghair use to marna bhi aaya nahin waqar ke sath azal se 'arsh' ek aawargi nasib mein hai hawa-e-dasht ko nisbat nahin qarar ke sath