bandhanon se rihai mat karna yun kabhi bhi judai mat karna lakh duniya kahe bura mujh ko aap meri burai mat karna jo diya dil mari nishani hai chiz apni parai mat karna is qadar dur kar mujhe khud se jaan ye jag-hansai mat karna mujh se ye bojh ab nahin uthta dekho tum aashnai mat karna