bane jo shams-o-qamar nang-e-asman nikle

bane jo shams-o-qamar nang-e-asman nikle
jinhen charagh samajhte rahe dhuan nikle

zara si der mein ek rind ho gaya momin
yaqin use bhi na tha hum bhi khush-guman nikle

na hum mein jauhar-e-'ghaalib' na un mein shan-e-'zafar'
to kis qusur mein koi qasida-khwan nikle

kisi ki chah mein jab jaan bhi hum ganwa aae
to lutf-e-yar ke qisse kahan kahan nikle

main sochta hun ki tarikh kya kahegi hamein
sahar ba-dosh chale shab ke pasban nikle

hadaf hamin ko banana ki mo'atabar thahro
is anjuman mein agar zikr-e-dostan nikle

jo sang-e-mil the be-abru hue 'khalid'
jo gard-e-pa bhi na the mir-e-karwan nikle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close