bante bante apne pech-o-KHam bane

bante bante apne pech-o-kham bane
tu bana phir main bana phir hum bane

ek aansu tha gira aur chal pada
ek aalam tha so do aalam bane

ek qadam uttha kahin pahla qadam
khak udi aur apne sare gham bane

apni aawazon ko chup rah kar suna
tab kahin ja kar ye zer-o-bam bane

aankh banne mein bahut din lag gae
dekhiye kab aankh andar nam bane

zakhm ko be-rah-rawi mein rah mili
khun ke chhinte ude aalam bane

hum kahan the us samay us waqt jab
tere andar ke ye sab mausam bane


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close