bar-e-gham-e-hayat ko sar par sameT kar

bar-e-gham-e-hayat ko sar par samet kar
ai dost phenk aaya hun yaksar samet kar

bezar zindagi se ye kar degi ek din
rakhna zaruriyat ki chadar samet kar

mange hai bund bund samandar se ab wahi
rakhta tha kal talak jo samandar samet kar

baad-e-khizan ne bagh ko taraj kar diya
sab le gai bahaar ka manzar samet kar

ji chahta hai aap ke daman mein dal dun
laya hun jo chaman se gul-e-tar samet kar

sarmaya-e-hayat hai 'shadan' mere liye
rakkha hai us ki yaad ko andar samet kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close