bar tujh hijr ka bhaari hai khuda khair kare raat-din nala-o-zari hai khuda khair kare sakhti-e-gham sen mere dil ka lahu pani ho hashm-e-giryan sati jari hai khuda khair kare kab mere chand ke aane sen ujala hoga hijr ki raat andhaari hai khuda khair kare chashm-e-khun-rez teri ki hai ajab tund-nigah hu-ba-hu ain katari hai khuda khair kare dil-e-pur-ah sin mere wo sanam darta nahin kale nagon ki pitari hai khuda khair kare bismil-e-ishq kun hargiz nahin ummid-e-hayat zakhm us tegh ka kari hai khuda khair kare aashna shoala-e-duri sen hua jaan-e-'siraj' kah kun aag sen yari hai khuda khair kare