baras ke bhi na mere kaam aa saki barish

baras ke bhi na mere kaam aa saki barish
abhi wo khul hi rahe the ki dhul gai barish

bujha saki na kisi taur meri ruh ki pyas
badan ki had se tajawuz na kar saki barish

ajab nahin ki jigar tak utar gai hoti
hamare sath agar khud bhi bhigti barish

hai zikr-e-yar isi iltizam se rangin
mahakta jism jawan raat be-khudi barish

hamin fareb-e-nazar ka shikar hote rahe
hawa ke sath badalti thi samt bhi barish

kabhi to raaz dilon ke tatolti 'asim'
kabhi to jhankti aankhon mein sar-phiri barish


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close