barha bas mujhe yun lagta hai hai koi jo mujhe hi takta hai khwab raaton mein khwab mein aa kar khwab ki hi tarah bikharta hai raushnai nigal gaya tha jo saya wo aankhon mein khatakta hai din ke sannate mein qarib aa kar ramz peshani par tahalta hai ai zamin pyasi hi rahegi tu aasman se dhuan barasta hai koi bu khak kar gai shayad dekh phulon ko ji machalta hai gham-talab kab talak rahe koi ab lahu aankhon se tapakta hai