Barish Hui to Phoolon Ke Tan Chaak Ho Gaye

Barish Hui to Phoolon Ke Tan Chaak Ho Gaye

Mausam Ke Haath Bheeg Ke Saffak Ho Gaye



Baadal Ko Kya Khabar Hai Ki Barish Kee Chaah Mein

Kaise Buland-o-Baala Shajar Khaak Ho Gaye



Jugnu Ko Din Ke Waqt Parakhne Kee Zidd Karein

Bachhe Hamare Ahad Ke Chalaak Ho Gaye



Lehra Rahi Hai Barf Kee Chaadar Hata Ke Ghaas

Suraj Kee Sheh Pe Tinke Bhi Bebaak Ho Gaye



Basti Mein Jitne Aab-Gazida The Sab Ke Sab

Dariya Ke Rukh Badalte Hi Tairaak Ho Gaye



Suraj Dimag Log Bhi Ablaagh-e-Fikar Mein

Zulf-e-Shab-e-Firaaq Ke Pechaak Ho Gaye



Jab Bhi Gharib-e-Shehar Se Kuch Guftguu Hui

Lahje Hawa-e-Shaam Ke Namnaak Ho Gaye!
This is a great fikar shayari urdu. True lovers of haath ki mehndi shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore dimag ki shayari. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close