barishen khun ki tez hain tez hain khun ki aandhiyan chaak-dar-chaak udne lagin khun mein zist ki chhatriyan raat petrol ki aag se shahr mein yun charaghan hua kanp kar bujh gain dil ke raushan jharokon ki sab battiyan be-aman khalq curfew-zada roz-o-shab ke andhere mein gum apni gardan mein dale hue apne katbaat ki takhtiyan donon hi likh rahi thin lahu se mere saneha qatl ka ek taraf hamla-war aastin ek taraf pasban wardiyan gar yunhi aag daman se uthti rahi to jala dalegi husn-e-gul-rang ka pairahan ishq-e-gulnar ki dhajjiyan jalti aankhon ke moti pighalte rahe aur ehsas ke reg-zaron mein tapti rahin mere khwabon ki parchhaiyan marg-e-amboh ka jashn-e-matam hai raushan karen hum 'shahab' phuljhadi ashk-e-khush-rang ki taza zakhmon ki mahtabiyan