barq ke sae mein kaif-e-ashiyan samjha tha main har maal-e-rang-o-bu ko gulsitan samjha tha main har numud-e-ishq mein soz-e-nihan samjha tha mein shahkar-e-husn ko aatash-bajaan samjha tha main ranj-o-gham se irtibaat-e-jism-o-jaan samjha tha main hasti-e-nakaam ko khwab-e-giran samajhta tha main ishq-e-fani ko nishat-e-jawedan samjha tha main zindagi ke raaz ko ab tak kahan samjha tha main dil ke har parde se aati thin sadaen dard ki barbat-e-hasti pe tum ko naghma-khwan samjha tha main kya khabar thi dil hi mera aastan naz hai dil ko ab tak niyaz-e-astan samjha tha main is liye main iltifat-e-khas se mahrum hun joshash-e-sai-e-talab ko raegan samjha tha main ai junun-e-justuju rah-e-talab mein bar bar har ghubar-e-karwan ko karwan samjha tha main sun raha tha kaifiyat-e-zindagi ke waqiat un ke afsane ko apni dastan samjha tha main be-niyaz-e-bandagi-e-shauq thi meri khudi be-khudi mein ehtiram-e-astan samjha tha main is qadar duba hua tha e'tibar-e-shauq mein har fareb-e-ashiyan ko aashiyan samjha tha main ghuncha-o-gul hi pe kya mauquf tha raaz-e-jamal zarre zarre ko chaman ke raaz-dan samjha tha main dil ki har tafsir par khamoshiyan deti thin dad anjuman walon ko mahw-e-dastan samjha tha main aap ki zat-e-girami ka na irfan kar saka aap ko lekin sharik-e-karwan samjha tha main jab shikast-e-saz-e-dil ki 'zeb' jhankaren sunin dil ki har dhadkan pe tum ko naghma-khwan samjha tha main