barson ghisa-pita hua darwaza chhod kar niklun na kyun makan ki diwar tod kar pani to ab milega nahin regzar mein mauqa hai khub dekh lo daman nichod kar ab doston se koi shikayat nahin rahi din bhi chala gaya mujhe jangal mein chhod kar tamir se buland hai takhrib ka maqam ek se hazar ho gaya aaina tod kar apne badan ke sath rahun to azab hai mar jaunga main jaun agar is ko chhod kar kyun sar khapa rahe ho mazamin ki khoj mein kar lo jadid shaeri lafzon ko jod kar