barson jo nazar tufanon ke aaghosh mein palti rahti hai us mast nazar ki har jumbish afsane ugalti rahti hai jo tark-e-talab se pahle tha dil ka wahi aalam aaj bhi hai aaina nahin badla jata taswir badalti rahti hai ji bhar ke use dekha lekin ab tak ye nazar bharti hi nahin masum ada mein rah rah kar ek baat nikalti rahti hai tu mere junun se nalan hai is par to nazar kar ai naseh wo zulf khud apne halqon ke andaz badalti rahti hai mai-khana 'faridi' kya jaane kis ko na mili kis ne pi li saghar hain ki chalte rahte hain sahba hai ki dhalti rahti hai