barson purane zakhm ko be-kar kar diya hum ne tera jawab bhi tayyar kar diya tauq-e-badan utar ke phenka zamin se dur duniya ke sath chalne se inkar kar diya khud hi dikhae khwab bhi tausi-e-shahr ke jangal ko khud hi chikh ke hushiyar kar diya jamhuriyat ke bich phansi aqaliyat tha dil mauqa jise jidhar se mila war kar diya aae the kuchh sitare teri raushni ke sath hum apne hi nashe mein the inkar kar diya wo nind thi ki maut mujhe kuchh pata nahin gahre ghane sukut ne bedar kar diya hum aaine ke samne aae to ro pade us ne saja-sanwar ke be-kar kar diya