bas isi ka gham nahin hai dil hai diwana tera banda-e-be-dam hai har-mast-o-farzana tera mazhar-e-rang-e-haqiqat jab hai paimana tera bais-e-sar-masti-e-alam hai mai-khana tera zikr karti hai zaban aalam ki rozana tera dil ne chup rah kar suna aankhon se afsana tera gar yahi aalam raha zauq-e-hijab-e-husn ka raaz-e-dil ifsha na kar de koi diwana tera mashrab-e-firdaus par tu bhi amal kar naseha la khuda ke nam par bhar dun main paimana tera saya-e-rahmat mein ho jis ka jahan-e-arzu kyon wali kar de na us ko lutf-e-shahana tera dastan-e-husn aur us ki numud-e-dil-nawaz khak mein mil kar bayan karta hai parwana tera 'shad' saqi ki nigahon mein rahen har haal mein yun gunahgaron ko hai mahbub mai-khana tera