be-dam hue yun ho ke giraftar-e-mohabbat kahta hai masiha ki hun bimar-e-mohabbat rota hai shab-e-hijr mein dil khun ke aansu milta nahin koi use gham-khwar-e-mohabbat in husn ki galiyon mein kharidar bahut hain lagta hai shab-o-roz ye bazar-e-mohabbat alfaz hain khanjar to bujha zahr mein lahja aise mein bhala kaise ho iqrar-e-mohabbat ab ishq hai ruswa to bigadta hai tera kya be-kar mein karta hai tu paikar-e-mohabbat mit jaenge hum un ko khabar tak nahin hogi ye soch ke karna pada izhaar-e-mohabbat ab dekhen wahan kaun lagae nai boli aate hain jahan roz kharidar-e-mohabbat tanhai mein socha tujhe jaana tujhe samjha phir khulne lage hum pe bhi asrar-e-mohabbat 'tishna' se karen log mohabbat ki jo baaten kaise main bataun ki hun be-zar-e-mohabbat