be-diye le uda kabutar khat yun pahunchta hai upar upar khat purze purze hua sarasar khat ek khat ke bane bahattar khat qatl hote hain nama-bar har roz lash par lash aur khat par khat roz ek nama-bar kahan se aae yun hi rakh chhodta hun likh kar khat kya qalam ne sharar-fishani ki phuljadi ban gaya mera har khat chaar hainge kul un ke ham-sae likh ke de aae aaj ham-sar khat jo ki lete nahin hain mera nam wo likhenge mujhe muqarrar khat kis tarah sarnawisht ko badlun khat mein mil jae ghair ke gar khat padh to lenge wo nama mera bhi aate rahte hain us ke aksar khat dekh kar nam phenk denge zarur phir na lenge kabhi mukarrar khat dak-ghar mein ticket nahin baqi 'nazim' itne gae hain khat par khat