be-hijabana kabhi dawat-e-didar bhi de

be-hijabana kabhi dawat-e-didar bhi de
lazzat-e-ishq bhi de ishq ka aazar bhi de

masnad-e-ilm-o-adab par mutamakkin farma
naghma-o-sher bhi de khama-e-gul-kar bhi de

taq-e-har-bazm mein rakh shama bana kar mujh ko
aur parwana-sifat lazzat-e-azar bhi de

gul ki manind khamoshi ke bhi aadab sikha
aur bulbul ki tarah shokhi-e-guftar bhi de

tod de gahe-ba-gahe meri hasti ka khumar
dil jo garma de kabhi wo mai-e-gulnar bhi de

kohsaron mein phirun gah chaman mein bhi rahun
dasht-e-pur-khar bhi de gulshan-e-be-khar bhi de

main hun gar ghuncha to gulshan mein khila de mujh ko
mast kar de jo zamane ko wo mahkar bhi de

daulat-e-faqr bhi de aur shahanshahi bhi
barg-e-gul de mere hathon mein to talwar bhi de

husn-e-fitrat ke khazanon ko luta de mujh par
zor-e-tahrir bhi de khama-e-gul-kar bhi de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close