be-KHayali mein na jaane kya se kya likhti rahi

be-khayali mein na jaane kya se kya likhti rahi
ek patthar ko mohabbat ka khuda likhti rahi

barha mazlum ghunchon ko tadapta dekh kar
zard patton par lahu se karbala likhti rahi

karwan lutne pe ab khud se bahut bezar hun
jaane kyon main rahzanon ko rahnuma likhti rahi

wo sar-e-bazar sauda-e-wafa karta raha
nam jis ka main hamesha ba-wafa likhti rahi

bebasi ki sham ko jab mukhtasar likhna pada
dard ke sahra mein sham-e-karbala likhti rahi

sang se bhi sakht nikla aakhirash wo dil bahut
umr bhar jis ko 'shabina' aaina likhti rahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close